[Intro]
Tere liye likhe geet hain, tujh sang meri preet hai
Teri aawaz sunna chahun, tu hi mera sangeet hai
[Chorus]
Keh dena, keh dena, man mein jo baatein hain
Reh lena, reh lena, dil ke iraade hain
Keh dena, keh dena, man mein jo baatein hain
Reh lena, reh lena, dil ke iraade hain
[Verse 1]
Doori badhi tujhmein, mujhmein itni ki saali jaan hi sookhi hai
Bhooli baithe mujhko, khudko, dil bhara par baatein adhoori hain
Adhoore se hum hain, tum ho, khyaali-si duniya mein kyun gum ho?
Haath rakhon mere seene pe, jaan-e-jaan, mukh se swar nikalo, kyun chup ho?
[Chorus]
Keh dena, keh dena, man mein jo baatein hain
Reh lena, reh lena, dil ke iraade hain
Keh dena, keh dena, man mein jo baatein hain
Reh lena, reh lena, dil ke iraade hain
[Verse 2]
Raaton ko call pe (Hello) aana tera sanam
Neendein meri udaata, tera aisa ye chaal-chalan
Halki-si hasi, ye halka-halka nayan milan
Gaalon ki ye gulaabi, nakhre kaante hain chubhan
Tu jo chup hoti, mere bhi hoth sil jaate hain, jaate hain, hoth sil jaate hain
Main yun khush jab tere haath meri ungliyan sajate hain, sajate hain, sajate hain
[Chorus]
Keh dena, keh dena, man mein jo baatein hain
Reh lena, reh lena, dil ke iraade hain
Keh dena, keh dena, man mein jo baatein hain
Reh lena, reh lena, dil ke iraade hain
[Outro]
Jo bhi man mein hai—
(Ahem-ahem, ahem-ahem, ahem, ahem)
(Sang mere reh lena)
Jo bhi man mein hai (Keh dena, kah dena) kah dena (Haan) aur mere saath mein (Haan) rah lena (Haan)
Karun, Baajewala (Haan)
Ha-ha
Yeah